facebook liker kyo na use kare


Hello friends aapka swagat hai hamari site mai. Yaha par ham aapke liye bahut interesting tricks lekar aate rahte hai. Par aaj ham koi bhi trick ni batayenge. Aaj ki post aapke liye bahut helpful hogi agar aap facebook user hai to aur liker ka use karna chahte hai likes ko badhane ke liye. Is post mai m aapko bataunga ki aap facebook liker ka use kyo na kare aur isse kya nuksaan hai. To ab post ko shuru karte hai.
facebook liker dont use

Facebook liker kya hai..


Friends aap sabhi facebook user hai to aapne liker ke baare mai shayad suna hoga aur agar ni suna to mai aapko batata hu ki liker kya hota hai. Facebook liker ek app hota hai jiski help se aap apne facebook ki photos aur post par like barha sakte hai. Iska use kaafi log karte hai. Iske liye bas liker par register karna parta hai.

Best trick to find mobile phone..


Liker kaam kaise karta hai..


To friends ab mai bataunga ki ye kaam kaise karta hai aur itne saare like aate kaha se hai. Aur ye like jo aate hai wo kisi robot ke ni hote balki ek real person ke hote hai. Ye kaam aise karta hai ki jab aap liker ka use karte hai to wo aapko aapki id se login karne ko kahta hia. Aur jab aap us par register kar dete hai to iska matlab ki aap unki term aud policy ko maan rahe hai. To jab aap us par register kar dete hai to aap uske member ho jaate hai aur jo bhi uska member hota hai uske id se hi like jaate hai kahi par bhi. Aur aapke register karne par unke members ke paas aapka bhi like jata hai.

BINA APNA NUMBER SHOW KIYE FAKE NUMBER SE CALL KAISE KARE

Liker ka use kyo na kare..


to friends jab aap liker par register kar dete ho to aap uske member ban jaate ho aur unki term and policy ke anusaar wo aapki id se kahi bhi like kar sakte hai. Aur fir o bhi liker mai register karta hai to aapka like uske paas chala ata hai. Aur agar koi adult content waale group liker use karte hai aur aap ka like us par jata hai to wo aapke liye acha ni hota hai. Aapke na chahte hue bhi aapki id se aise waise pages ko like kia jata hai. Facebook khud liker use karne ki permission ni deta. Aur agar aise waise aapke like jaate hai to wo aapki profile kharab karte hai. Kuki wo likes aapke likes page mai add ho jaate hai. Aur kabhi kabhi to aise pages par like se aapka facebook id block bhi kar sakta hai facebook ya koi aur punishment de sakta hai.

AAPKA PHONE HACK HAI YA NAHI YE KAISE PATA KARE.

To friends meri yahi advise hai ki aapke jitne bhi like aa rahe hai facebook par aap unhi se khush rahiye. Aur waise bhi liker ka use karne par aap khud hi jante hai ki aapko log kitna pasand karte hai. Tabhi to aap liker ka use karte hai. To jab aise like aayenge jinko aap jante bhi ni honge to aise like se kya fayda. To isliye liker ka use kabhi mat kijiye. Aur hamari post se is jaankari ko apne friends mai jaroor share kijiye. Aur isse related koi question ho to wo comment box mai jaroor kijiye.
THANKYOU

No comments

Friends aapko hamara post kaisa laga, ye hame jaroor comment kar ke bataye. Comment karne ke liye, thankyou...