Google se kisi ki bhi puri jankari kaise paate rahe
Hello friends aapka swagat hai hamari site par. Aaj mai aapke liye ek bahut kaam ki
trick lekar aaya hu. Ye
trick aapke bahut kaam aa sakti hai. Is
trick ki help se o bhi chij ki information lena chahte hai google se , wo aap
pa sakte hai. Wo bhi apni e mail par. Aur agar aap khud ke baare mai
jaanna chahte hai ki aapke baare mai kon kab search kar raha hai, to ye bhi
jaan sakte hai. To shayad ye trick aapko
bahut achi lage. Aur mai aapko simple way mai
ise samjhane ki koshish karunga.
ONLINE APNE LIYE KOI BHI PART TIME JOB KAISE SEARCH KARE
ONLINE APNE LIYE KOI BHI PART TIME JOB KAISE SEARCH KARE
Kaise pata kare koi bhi jaankari..
To ab ham aapko batate hai ki aapko karna kya hai iske liye. Sabse pahle apna browser open karna
hai aur uspar google alert type karna hai. Fir
aapko sabse pahli waali google alert waali link par click karna hai. Isme aapko apni gmail id se sign in
karna hai. Sign in karne ke baad start
par click karna hai. Waha
par aapko apna alert set karna hai. Matlab
aapko jis bhi chij ki jaankari chahiye use waha par type kar ke select karna
hai. Aur fir aapko time set karna
hai ki kab kab aapko mail chahiye. Is
tarah se aap koi bhi jaankari apne gmail par pa sakte hai.
kuch bhi hack kare simple trick se
kuch bhi hack kare simple trick se
Google alert kya hai.
Google alert google ki hi ek service hai, jo ki kisi bhi
jaankari ki alert jo aap set karte hai wo aapko deti rahti hai. Ye bahut achi service hai google ki. Agar aapko news ya technology ya
kisi bhi cheej mai interest hai to aap use related kisi bhi chij par alert set
kar dijiye aur uske baare mai latest information paate rahiye. Ye aapke liye bahut useful ho sakta
hai. Iska use aapko jaroor karna
chahiye.
To friends aaj ki post ko yahi kahtm karte hai. Shayad ab aap is trick ka use kaise
karna hai ye samajh chuke honge. To
aisi hi simple tricks jaanne ke liye hamari site par visit karte rahiye. Hamne apni pahle ki post mai bhi
achi achi tricks technology se related aapse share ki hai. To aap unhe bhi parhna na bhoole. Aur apne friends ke sath bhi post
share kijiye. Aur agar is post se related
koi problem aa ri ho to niche comment box mai apna question kiiye. Ham aapki puri help karenge.
THANKYOU..
Post a Comment