Mobile se free sms kaise send kare

Hello friends mai aapka swagat kart ahu hamari site par, jaha par aapko interesting technology tricks jaanne ko milti hai wo bhi simple way mai. To friends aaj mai fir se ek bahut useful trick lekar aaya hu jise bahut log jante hai aur use bhi karte hai par jo ni jaante mai unke liye ye post likh rah ahu. Taaki wo bhi iska use kar sake.
free msg

Free sms kaise bheje..

To jaisa ki titile hai to mai aaj aapko bataunga ki apne laptop ya phone se kisi ko  bhi kahi bhi free mai msg kaise bheje. Waise to aap log msg bhejne honge to 1 rupee kat jaate honge ya aap massege pack karate honge to usme bhi paise lagte honge. Lakin meri batayi hui trick se aap free mai massege bhej sakte hai. To ab aapko is trick ke baare mai batate hai.
Sabse pahle aapo apna browser open karna hai aur usme type karna hai WAY2SMS. Ye ek free site hai jo ki free mai message provide karti hai. To aap jab ye type karenge to aapke samne sabse pahle page par hi way2sms ki site dikh jayegi. Ab aapko ise open karna hai aur isme sign up karna hai. Sign up karte time aapko wo number daalna hai jo aapko bheje gaye massege mai dikhayega jiske pass jayega. Fir aapke pass otp aayegi fir aapko account verify ho jayega. Ab aap iska use kar sakte ahi.

Mobile me software kaise dale



Iska use karne ke liye aaapko login karna hoga apne account se jo aapne abhi create kiya hai. Fir waha aapko send message ka option dikhayi dega. Aapko uspar click karna hai. Click karne ke baad jise bhi send karna ho uska number type kijiye aur apna message type kijiyega aur send par click kar dijiye. Is tarah aapka massege free mai send ho jayega. Bas aapke phone mai data hona chahiye. Aur isme aur bhi kayi option hote hai jaise ki aap shayri bhej sakte ho kayi type ki. To aap ye sab option use kar sakte ho. Par iski bhi har din ki limit hoti hai. Isse aap ek din mai 30 massege se jada ni send kar sakte. Aur bhi kayi site hai jo free mai sms provide karti hai. Aap google par free sms daalkar check kar sakte hai aur sign up kar ke unhe bhi use kar sakte hai. Agar aapko jada message ki jaroorat parti hai to aap 3 ya 4 site par sign up kar lijiye  aur sabki kuch limit hoti hai. Us limit tak sms send kariye aur enjoy kariye.
To friends ye post maine sirf logo ki help ke liye likha tha. Aap iska use kariye aur apne friends ko bhi bataiye. Aur hamari post ko unke sath share kijiye. Aur agar post se related koi problem ho ri ho to hame comment box mai jaroor comment kijiye..
THANKYOU..
Apne friend ki browsing history kaise jaane.

1 comment:

Friends aapko hamara post kaisa laga, ye hame jaroor comment kar ke bataye. Comment karne ke liye, thankyou...