Youtube se video kaise download kare.

Hello friends aapka swagat hai hamari site mai. Yaha par ham aapke liye bahut hi awesome tricks wo bhi simple way mai lekar aate rahte hai. To aaj ham aapke liye ek aur bahut achi trick lekar aaye hai. Aaj ham aapko batayenge youtube se video download kaise kare. Waise aap agar android phone use karte honge to youtube se aapko jo bhi video achi lagti hogi use offline kar lete honge. Lekin is video ko aap apne storage mai ya gallery mai ni pa sakte. Aur na hi ise share kar sakte hai. Par ham aaj jo trick aapko batayenge aap uski help se koi bhi video seedhe apni gallery mai ya storage mai jaha bhi save karna chahte hai save kar sakte hai. Ye trick laptop aur pc users ke liye to bahut hi achhi hai kuki laptop ya pc mai video ko offline karne ka bhi koi option ni aata. Wo sirf ye video online hi dekh paate hai. To hamari trick se aap bina kisi software ke koi bhi youtube video ko apne laptop ya mobile phone ki gallery mai save kar sakte hai.


download youtube video one click


Youtube se sidhe gallery mai video kaise download kare, android phone mai.


To friends ab mai bataunga ki jo android user hai wo youtube se sidhe apne gallery mai video kaise download kar sakte hai. Sabse pahle aapko apne youtube ke app ko open karna hai. Ab aapko jo bhi video download karni hai usko open kijiye. Jab ye video chalne lagegi to aapko niche ek icon dikhega uspar click kar ke aapko iska link mil jayega. yaha par aapko copy link ka option  milega. Aapko uspar click karke link copy kar lena hai. Ab aapko apna browser open karna hai. Aap us browser ya chrome ya koi bhi browser ka us kar sakte hai. Ab aapko apne browsr ke search box mai der tak click karna hai aur tab paste ka option aa jayega. ab apna link waha par paste kar dena hai. Paste karne ke baad search ni karna hai. Iske liye aapko link mai thora sa change karna parega. Wo kaise karna hai mai batata hu. Aapne jo link copy kiya hoga wo http:// www.anything1431.com aisa kuch hoga. Bas aapko www. Ke aage click karna hai aur ss type karna hai aur fir search par click karna hai. Matlab ki ab aapka link change hokar http://www.ssanything1431.com ban jayega. ab aap jaise hi search karenge to aapke samne ek site open ho jayegi jaha par se aap niche apne video ki quality select kar ke download par click kar denge aur aapki youtube video download par lag jayegi. Aur ye video jaha bhi aapki download video save hoti hai waha par save ho jayegi.

Youtube se laptop mai video kaise download kare.


Friends abhi maine aapko mobile mai youtube video kaise download kare ye bataya, ab aapko laptop mai youtube video download karna bataunga. Ye use simple hai. Aapko youtube open karke jo bhi video download karni hai usko open karna hai. Aapke search box mai us video ka link show karega. Bas ab aapne jo phone mai kiya thaw ahi yaha par bhi karna hai. Bas www. ke baad ss laga dena hai. Fir aapke samne website open ho jayegi. Ab apne hisab se video ki quality select kar ke download par click kar dijiye. Aapki video download par lag jayegi. Aur sidhe aapke downloads folder mai chali jayegi. To is tarah se aap apne laptop ya pc mai youtube ki video ko simple way mai download kar sakte hai.

To friend aaj ki hamari trick se aap koi bhi youtube video aasani se download kar sakte hai. Isi tarah ki aur bhi tricks jaanne ke liye hamari post ko parhte rahiye aur apne friends mai share karte rahiye. Is post se related koi bhi problem ho to comment box mai jaroor comment kijiye. Ham aapki puri help karenge.
THANKYOU..



1 comment:

  1. idm crack
    youtube Video Download is one of the greatest tools free online for convert videos of Facebook to mp4 (video) or mp3 (audio) formats and downloads them for free

    ReplyDelete

Friends aapko hamara post kaisa laga, ye hame jaroor comment kar ke bataye. Comment karne ke liye, thankyou...