Kisi bhi English website ko hindi mai kaise change kare
Hello friends swagat hai aapka hamari website mai, jaha
aapko internet aur technology se related jankariya di jaati hai. To friends aaj
fir se ham aapke liye ek bahut acchi trick lekar aaye hai. jo aapke liye bahut
helpful bhi hai. Friends aaj ham aapko
aisi trick batayenge jiski help se aap sirf kisi ek word ko hi nahi balki poori
website page ko hi hindi mai change kar sakte hai. friends ye ek choti si trick
hai lekin bahut useful bhi hai. Agar aap log ye jaanna chahte hai to hamara
article poora parhe.
Website ko translate kyo kare
Friends sabhi internet ka use karte hoge. Aur jo bhi kuch
agar aapko samjh nahi aata ya kisi bhi cheej ke baare mai agar aap pata lagane
chahte hoy a uski information chahte ho to aap sabhi mai se jada log internet
par google par hi search karte hoge. Friends kabhi kabhi seach karte time aisa
hota hai ki aapko uske baare mai poori jankari hindi mai nahi mil paati hai.
aur wo information aapko kisi English website ya kisi aur language ki website
par acche tarike se mil rahi hoti hai. lekin agar aapko English ya wo language
aati ho to aap easily saari information pata kar lete hai. lekin agar aap jada
English nahi samjh paate to aap us website ko hindi mai ya jis bhi language mai
aapko suitable lage usme us poori website ke page ko change kar sakte hai.
English page ko hindi mai kaise translate kare.
Friends ab aap samjh gaye honge ki aaj ki post mai ahm kya
batana chahte hai. To friends ab jante hai ki ye kaise karna hai. Friends ye
trick sirf google chrome browser mai hi kaam karti hai to sabse pahle agar
aapke pas chrome browser nahi hai to use download kar lijiye. Uske bad apna
browser open kijiye usme google chrome store type kijiye. Ab pahle wale link
par click kijiye. Ab aapke samne chrome ka web store open ho jayega. Yaha para
aapko ek search box dikhayi dega. Usme aapko google translate type karna hai
fir jo pahla wala extension aayega use add to chrome par click kar dena hai. ab
ye aapke chrome browser mai upar ki taraf right corner mai add ho jayega. Ab
bas aap jo bhi website open karte hai. agar wo kisi bhi language mai ho to use
hindi mai change karne ke liye sabse pahle google translate ke extension par
click kijiye. Ab waha par niche ki taraf aapko translate page ka option dikhayi
dega. Uspar click kar dijiye. Ab waha par aapko sabse upar ki or language
change karne ka option dikhayi dega. Waha se aap hindi select kar lijiye. Ab ye
poora page hindi mai apne aap translate hona start ho jayega. Is tarah se aap
kisi bhi language ki website ko kisi bhi language mai change kar ke easily use
read kar sakte hai. aur friends agar aap isme poora page nahi sirf koi word ya koi paragraph ko hi translate
karna chahte hai to wo bhi kar sakte hai. iske liye bas aapko wo word ko
extension ke search box mai type karna hoga, fir translate par click karna
hoga. Bas aapke samne uska translate aa jayega.
To friends waise to ye ek simple si trick thi par ye bahut
useful bhi hai. aap iska use kar sakte hai. friends ye translation ke liye bhi
bahut acha hai. to agar aapko hamari ye post achi lagi to ise apne friends ke
sath share kijiye aur agar isse related koi problem ho to hame comment akr ke
jaroor pooche.
THANKYOU..
Post a Comment