Android phones ka pattern lock kaise unlock kare

Hello friends ek baar fir mai aap ke liye ek helpful trick lekar aaya hu. Ye trick sabhi android user ke liye bahut hi useful hai. Friends kabhi kabhi aisa hota hai ki ham apna pattern lock bhool jate hai ya koi aur hamara friend pattern lock bhool jata hai, to hamari trick ki help se aap apni aur apne friend dono ki help kar sakte hai. Aur pattern lock ko aasani se unlock kar sakte hai.


unlock pattern lock without password

 Online apne kisi bhi social account ko delete kaise kare

Phone lock kaise ho jata hai.


Friends waise to ye hamari bhool ke karan hota hai. Ham apna pattern lock bhool jate hai tabhi apne phone ko unlock nahi kar pate hai. Lock hone ka aur koi reason nahi hota. Phone mai koi aisi security default nahi hoti joki aapke kuch karne par aapka phone lock ho jaye. To friends jab aap apna pattern lock bhool jate hai ya kisi aur ka pattern lock na malum ho to ye trick use kar sakte hai.


Pattern lock kaise tode


Ab ham aapko batayenge ki ye trick kaise kaam karti hai. Friends jab aap apna pattern lock bhool gaye ho aur gmail daalne par bhi aapka pattern unlock na ho tabhi is trick ka use kare. Kyoki is trick se aapke phone ka saara data delete ho jayega.
 To sabse pahle jo android phone lock ho gaya hai usko lijiye aur usko power off(switch off) kar dijiye. Fir uska power button aur volume ki down key dono ko ek sath press kijiye. Ab aapka phone recovery mode mai aa jayega. agar is tarah se aapka phone recovery mode mai na aaye to aap apne phone ka model name recovery mode type kar ke internet par search kar sakte hai. Waha par aapke phone ko recovery mode mai lane ka shortcut mil jayega. ab jab aapka phone recovery mode mai aa jayega to aapko waha par ek option wipe data/factory reset ka dikhayi dega. Ab aapko is option par click karna hai. Ab aapka phone reset hona start ho jayega. isme thora sa time lagega. Jab ye complete ho jaye to ab aapka phone unlock ho chuka hoga aur uska saara data delete ho chuka hoga.  Ab aap apna phone fir se naye tarike se start kar sakte hai.


Data ko wapas kaise laaye.


Friends aapka pura data to wapas nahi aa payega is trick se lekin aapke jo contacts the wo wapas aa sakte hai. Uske liye jab aap apna phone reset kar chuke ho tab open kar rahe ho tab aapse gmail type karne ka option aayega. Us option mai aapko apni pahle waali gmail daalni hai. Jab aap apni pahli waali gmail type karenge to aap ka saare contacts wapas aa jayenge.

To friends aapko hamari ye trick kaisi lagi. Agar isse related koi problem ho to hame jaroor comment kare. Ham aapki jaroor help kare. Aur is post ko apne friends ke sath bh share kijiye taaki unhe bhi is trick ke baare mai pata chal sake. Aur aisi hi aur trick jaanne ke liye hamari aur bhi post read kariye.
THANKYOU

No comments

Friends aapko hamara post kaisa laga, ye hame jaroor comment kar ke bataye. Comment karne ke liye, thankyou...