Apne browser mai hidden password ko kaise pata kare..
Hello friends aaj mai aapke liye ek bahut hi cool trick
lekar aaya hu jo ki bahut jada helpful hai aur amazing bhi. Aaj mai aap ko
bataunga ki aap jo apne browser mai kabhi login karte ho ya kabhi kisi bhi site
par aapka account hota hai o jab aap apne browser se us account ko fir se open
karte ho to aap ko waha par kabhi kabhi aapka username pahle se hi likha hua
dikhayi deta hoga aur password par star bane hote hai, kuch is tarah ke
(********) . To friends mai aaj ki post mai aapko bataunga ki in stars ke piche
chhupe hue passwords ko kaise jaane. Ye trick bahut hi achi hai aur ye hamesha
kaam karegi. Aap is trick ki help se kisi aur ke bhi browser se uske stars ke
piche chhupe hue password ko jaan sakte ho bina koi username daale.
Password kaise pata kare
Password kaise pata kare
To friends agar aap meri post ko parhte honge to maine kuch
time pahle ek post daali thi jisme maine aapko keylogger se password pata karne
ki trick batayi thi. Uske baad main eek aur post kit hi jisme aapko chrome
browser se password pata karne ki trick batayi thi. Lekin ye trick un sab se
alag hai aur ye trick bahut achhi hai. Isme ham html ke kuch codes ko change
karenge aur fir password hamare samne hoga.
keylogger se password kaise pata kare
To friends ab mai aapko bataunga ki ye karna kaise hai. Sabse pahle aapko apna browser open karna hai aur fir jo bhi password jaanna hai us account ke login page ko open karna hai. Jaise ki aapko facebook ka password dekhna hai to aapko facebook ka login wala page open karna hai. Ye trick sirf wahi kaam karegi jaha par username pahle se likha ho aur password mai star(********) bane ho.
google chrome se password kaise pata kare
keylogger se password kaise pata kare
To friends ab mai aapko bataunga ki ye karna kaise hai. Sabse pahle aapko apna browser open karna hai aur fir jo bhi password jaanna hai us account ke login page ko open karna hai. Jaise ki aapko facebook ka password dekhna hai to aapko facebook ka login wala page open karna hai. Ye trick sirf wahi kaam karegi jaha par username pahle se likha ho aur password mai star(********) bane ho.
google chrome se password kaise pata kare
To ab aapko password wale column mai click karna hai aur fir
aapko right click karna hai. Ab aapke samne kuch option aa jayenge, usme sabse
last option inspect hoga. Aapko uspar click karna hai. Jaise hi aap us
par click karenge aapke samne html ki coding open ho jayegi. Ab aapko sabse
upar elements option dikhayi dega. Uspar aapko click karna hai. Waise
jadatar pahle se hi us option par select
hota hai. Agar pahle se select ho to click ni karna hai. Fir usme thori coding
hogi, aapko niche karna hai us coding ko to waha par aapko (<input type="password"
class="inputtext" name="pass" id="pass"
tabindex="2" data-testid="royal_pass">) aisi coding
dikhegi. Usme aapko jaha par “password” likha hai waha par aapko password
ko delete kar ke text likh dena hai. Fir aapko enter kar dena hai. Bas
jaise hi aap enter karenge to aapko jaha par password column mai star dikhayi
de rahe the, waha par ab aapko un star ke piche chhupa hua password dikhayi de
jayega. is tarah se aap koi bhi chhupa hua password pata kar sakte hai. Ye
trick hamesha kaam karti hai.
Mobile se free sms kaise send kare
Mobile se free sms kaise send kare
To friends aapko hamari ye trick kaisi lagi hame niche
comment kar ke jaroor bataye, aur agar koi problem ho rahi ho is post se
related to hame jaroor comment box mai pooche. Ham aapki jaroor help karenge.
Aur is trick ka use kar ke khud dekhe ek baar aur aap apne friends ke browser
mai chhupe hue passwords ko bhi kar sakte hai. Is trick ka use fun ke liye
kijiye. Iska galat use mat kijiyega.
THANKYOU..
Aapka facebook hack hai ya nahi ye kaise pata kare
Post a Comment