How to find lost android phone

How to track my phone, Find my mobile

Hello friends aapka fir se swagat hai hamari site mai.aaj ham aapke liye aaj ek aur bahut achhi aur kaam ki trick lekar aaya hai. Is trick mai mai aapko apne mobile phone ki location pata karna bataunga. Aur ye bhi bataunga ki is trick se aap apne khoye hue mobile phone ya ghar par galti se kahi rakha hua phone jo mil na raha ho, use kaise bahut aasani se dhoondh sakte hai. To frieds aaj ki post shuru karte hai.

Locate my phone, Find my phone, , Track my phone, Where is my phone, Find my phone android, Find my phone location, How to track a lost phone, Find my device.


FACEBOOK KI SAARI FRIEND REQUEST SIRF EK CLICK MAI CONFIRM YA DELETE KARE

How to find a lost phone.

Sabse pahle apne mobile phone ya pc ka browser open karna hai. Aap chrome ya uc browser koi bhi use kar sakte hai, ye trick sab par kaam karti hai. To ab aapko google ke search box mai type karna hai FIND MY DEVICE, iske baad aapke samne kuch page open honge. Usme se aapko FIND MY DEVICE-GOOGLE par jaana hai. Is par click karne ke baad aapke samne naya page open ho jayega.




find phone trick



Ab aapko isme niche jana hai aur waha par aapko bahut saare options dikhai denge. Inme se aapko location waale option par jana hai aur ye dhyan rahe ki aap ko jis phone ki location pata karni ho aapko wahi gmail jo usme sign in ho wahi isme daal kar sign in karna hai, is site mai. Aur isse aap sirf android phone ki location hi pata kar sakte hai, kuki keypad phones mai gmail sign in ni rahti. To jab aap apni us gmail id se location par click karenge to aapko aapne phone ki jisme wo gmail sign in hogi uski location dikha dega. Aur friend iski achi bat ye hai ki ye bina koi app install kiye aap kisi bi android phone ya pc par kar sakte hai. Aur isse aapko aapke phone ke aas pas ki 100 meter tak ki range bata deta hai. Jisse ki aap exact us jagah par pahuch sakte hai jaha par wo phone hoga.






Phone ko ring kaise kare..


Ab aap ye soch rahe honge ki 100 meter ki range mai bhi kaise pata karenge, kya pata kahi aisi jagah gira ho jaha dikh na raha ho ya koi chura hi liya ho. To iske liye bhi ye trick bahut kaam aati hai. Aapko apne pahle waale page par wapas jaana hai aur waha par aapko RING MY PHONE ka option dikhega. Aap jaise hi is par click karenge waise hi aapka phone full volume mai bajne lagega. Aur khaas bat ye hai ki agar aap ka phone silent hai fir bhi wo ring karega. To is tarah se aap apna phone kaafi easily dhoondh sakte hai.




Phone lock kaise kare..


Ab mai aap ko aur bhi iski kuch tricks batata hu jo aapke liye bahut helpful hongi. Ab agar aap ka phone chori ho gaya hai aur ab aapko wapas ni mil pa raha hai. Kuki shayad phone ki battery low ho ya chor ne kisi aur tarike se uski volume band kar di ho to, to ab aap ko waps usi page par jaana hai aur waha par aapko ek option ek phone ko lock karne ka option milega kiska password sirf aap laga sakte hai aur aapke bina us password ko koi aadmi ni khol sakta hai. To aap ko yaha par jakar lock par click kar dena hai aur koi strong password set kar dena hai. Isse aapke jo jaroori data matlab photo, video aur documents etc jo bhi usme ho usme koi mis use ni kar payega aur us password ke bina wo phone ni khulega.

KISI KA BHI PASSWORD KAISE PATA KARE

Lakin friends ye trick bhi ek jagah fail ho jati hai. To ab aapko batata hu ki ye trick fail kaise hogi. To agar jisne aapko phone churaya hoga agar usne aapke phone se aapki gmail ko kisi tarah se sign out k..ar deta hai, to aapki inme se koi trick kaam ni karegi. Isliye aap ka phone jaise hi gayab ho aap turant in tricks ka use kare, jisse ki aap ka phone aap ko mil jayega..

GOOGLE SE KISI KI BHI PURI JANKARI KAISE PAATE RAHE

To friends aaj maine aapko bahut saari tricks batai, jo aapko shayad pasand bhi aayi h. aur aapke liye helpful bhi ho. To agar aapko is post se related koi bi problem ho to niche comment box mai comment kijiye. Aur apne friends ke sath bhi hamari post ko share kijiye
THANKYOU

No comments

Friends aapko hamara post kaisa laga, ye hame jaroor comment kar ke bataye. Comment karne ke liye, thankyou...