Apne friend ki browsing history kaise jaane..


Hello friends mytricksdot mai aapka swagat hai. Friendsyaha par aap technology aur education se related jankariya bahut hi simple way mai jaan sakenge. Jaisa ki maine apni pichle post (google ke hidden facts) mai kaha tha ki mai aapko google ke baare mai kuch jaankari dunga ki google aapki puri history ko kaise apne pass save rakhta hai. Matlab ki aap google par ya kisi bhi browser par jisme aapki gmail id sign in hai us par aap jo bhi browse karte hai matlab jo bhi search karte hai ya download karte hai ya kuch bhi karte hai wo sab google apne pas save rakhta hai.

Browse history, Search history, Google history, Delete browsing history, Clean browsing history, Clean history, My search history, Delete history, History of internet, Google search history, browser, Google history delete all.


INTERNET PAR FREE MAI APNA STORE KAISE OPEN KARE

Aapki history google kaha save karta hai..


To friends ab mai aapko bataunga ki google aapki saari browsing history ko kaha save karta hai. To ye jaanne ke liye aapke pass internet connection hona chahiye. To sabse pahle aap jo bhi browser use karte hai uske search box mai aapko GOOGLE MY ACTIVITY type karna hai. Ye type karne ke baad aapke screen par ek page open hoga, usme sabse pahla page jo ki WELCOME TO GOOGLE ACTIVITY hoga uspar click karna hai. Is link par click karne ke baad jo page open hoga usme aapko apni gmail se sign in karna hoga. Sign in karne ke baad aapke saamne ek page khulega jisme aapke ab tak ki puri browsing history save hogi aur agar aapke gmail wale browser se kisi aur ne bhi jo bhi search kiya hoga, wo bhi aap yaha par dekh sakte hai.



chrome hacking



Apne friend ki google search history kaise pata kare..

To ab mai aapko bataunga ki kya aap kisi aur ki browsing history bhi check kar sakte hai, to ha aap kisi ki bhi puri history ko is trick ki help se dekh sakte hai, lakin condition ye hai ki iske liye aapko uski gamil id aur password maalum hona chahiye. To agar usne apni history browser se delete bhi kar di ho fir bhi aap uski browsing history pata kar sakte hai. Iske liye aapko upar waale hi saare steps follow karne hai bas apni gamil aur password ke place par jiski history jaanni hai uska gmail id aur password daalna hoga. Aur is trick se aapko uski poori search detail pata chal jayegi.


Apni history ko google se kaise delete kare, Delete browsing history.


To friends abhi maine aapko bataya ki google aapki saari history ko kaha save rakhta hai. Ab mai aapko baatunga ki kya aap apni history ko google ke pas se delete bhi kar sakte hai. To aap ye kar sakte hai, matlab aap apni google history ko delete bhi kar sakte hai. To iske liye aapko apne my activity ka page open karna hai jaisa ki maine upar bataya hai. Fir us page mai upar ki or aapko kuch options dikhai denge. Aapko sabse upar 3 parallel lines dikhai dengi, aapko uspa click karna hai. Fir aapke saamne ek page open hoga jisme bhaut saare option honge. Usme se aapko DELETE ACTIVITY BY par click karna hai, fir ek naya page open hoga isme aapko 3 option dikhai denge. To aapko isme se ALL PRODUCTS par click karna hai, aur fir delete par click kar dena hai. Isse aapki saari history delete ho jayegi. Aur iske alawa agar aapko puri history ki jagah kuch history delete karni hai to uske liye bhi waha par option available hai, to aap us par jakar delete kar sakte hai.


Hamesha ke liye google ko apni history save karne se roke..

To ab tak aapne jana ki apni history kaise dekhe aur kaise delete kare. To ab mai bataunga ki aap hamesha ke liye apni history save hone se kaise roke. Kuki aap hamesha apni history to delete karte ni rahenge, to is trick se aapki history kabhi save ni hogi aur ye aapke liye bahut hi helpful bhi hogi. To sabse pahle aapko apne usi history wale page par jana hai aur 3 lines par click karna hai. Click karne ke baad aapko ek option ACTIVITY CONTROL ka dikhai dega. Aapko us par click karna hai, aur waha par jaakar apne hisaab se apni activity ko control kar sakte hai ya hamesha ke liye band kar sakte hai.

To friends aaj ki post mai maine aapko google se related bahut jankariya di hai. Shayad aapko pasand aayi ho aur aapke kuch nay jaanne ko mila ho. To friends is post ko apne friends ke sath share kijiye, aur agar is post se related aapko koi bhi problem hoti hai to niche comment box mai apni problem likh de. To mai aapke liye isi taarh ki aur bhi knowledge full tricks lekar aata rahunga. THANKYOU..

1 comment:

Friends aapko hamara post kaisa laga, ye hame jaroor comment kar ke bataye. Comment karne ke liye, thankyou...