MI flash sale, MI 4th anniversary sale.


MI flash sale, 4th anniversary sale, flash sale

Hello friends, aaj ham baat karenge MI ki 4th sale ke baare mai. MI ki flash sale kya hai aur isme kaise participate kiya gaya tha aur iske baare mai sabhi jankariya. Friends MI india ka number one smartphone brand ban gaya hai. MI company ne 10 se 12 july ko apni flash sale open kit hi. 10  july ko MI company ne apne 4 saal poore kiye , isliye inhone is sale ko 4th anniversary sale name diya hai. Friends ye ek amazing sale thi.


MI flash sale kya hai


Friends jaisa ki maine bataya ki MI ne 4 saal poore hone par ye sale open kit hi isliye ise 4th sale kahte hai. Aisa inhone pahli baar nahi kiya hai. Isse pahle 2017 mai bhi inhone ek sale launch kit hi. Us sale mai inhone apne smartphones ko 1 rupee mai sell kiya tha. Friends is sale mai inhone 4 rupee mai MI ke top smartphones brand ki sale ki thi. Aur iske alawa inhone 12 pm blockbuster sale bhi open ki  thi. Isme MI ke products par discount mil rahe the. Iske alawa kuch coupons bhi win ke liye rakhe gaye the.

mi 4th anniversary sale

4 rupee mai MI ka smartphone kaise kharide


Friends is sale mai inhone 4 rupee ki sale open kit hi jo ki sham ko 4 baje start hoti thi aur 1 ya 2 minut mai over ho jati thi.is sale mai 4 rupee mai MI ke top smartphones aur uske alawa ek LED tv bhi shamil kit hi aur iske alawa kuch aur products bhi the. Ise paane ke liye ek game khelne parta tha. Is game ka name find the four game tha. Isme 4 dhundhna rahta tha ek image ke andar aur buy now par click karna rahta tha. Jo bahut hi lucky hota tha wo hi is sale ko win kar pata tha. Friends ye sale bahut hi jaldi over ho jati thi.


Sale mai coupon kaise jeete


Friends is sale mai MI ne kuch coupons bhi rakhe the. Jo ki 50, 100, 200 aur 500 ke the. Ye coupons ki grabbing subah 10 baje start hoti thi aur ye bhi 1 ya 2 minut mai over ho jati thi. Ise grab karne ke liye bhi coupon ke niche click karna rahta tha. Ise bhi bahut hi jada lucky person hi grab kar sakta tha.
Friends isi tarah 12pm blockbuster sale bhi thi jo ki raat mai 12 baje start hoti thi. Is sale mai kuch khas discount nahi milta tha. Isme MI ke products par 500 ya 1000 rupee tak ka hi discount milta tha.To friends MI ne 4 saal pura hone par is sale ko open kiya tha to shayad agle saal fir ye ye sale ko open kare. Ise hi flash sale bhi kahte hai.


Maine ye post sirf jankari ke liye likhi hai. Kuki friends ye sale ab over ho chuki hai. Fir bhi mujhe iski jankari aapse share karna acha laga. To maine ye post aapse share kar di. Agar aapko ye post acchi lagi ho to ise apne friend ke sath jaroor share kijiye. Aur hame niche comment box mai jaroor comment kijiye. Aur agar aapko internet aur technology se related amazing tricks jaanne mai interest hai to aap hamari aur bhi post ko read kar sakte hai.


No comments

Friends aapko hamara post kaisa laga, ye hame jaroor comment kar ke bataye. Comment karne ke liye, thankyou...