Mobile me software kaise dale
Hello friends aapka fir swagat hai meri site par. Yaha par ham aapke liye
technology se related tricks easy way mai lekar aate hai. To agar aap bhi technology
mai interested hai aur isse related best tricks jaanna chahte hai to aap ke
liye hamari site ek best option hai. To aaj ki post mai m aapko bataunga ki kisi android
mobile mai software kaise dalte hai.
Maine aksar dekha hai ki jo android phones hote hai unme
kabhi kabhi software chala, aur software dalwane ke liye ham shop par jate hai
jaha wo hamse kaafi paise charge karte hai aur hame naya software daal ke dete
hai. To is
post ki help se aap ghar baithe apne phone mai software install kar sakte hai
jiske liye aapko paise bhi ni dene parenge ar aapka phone bhi thik ho jayega. To chaliye post ko shuru
karte hai.
Agar aap phone on karte hai aur wo phone on ni hota ya hota
bhi hai to sirf company ka name dikhata hai to iska matlab hai ki aapke phobe
ka software chala gaya hai. To isko aap ghar baithe sahi kar sakte hai. Iske liye aapke pass aapka
phone jisme software daalna hai, ek data cable aur koi laptop ya pc aur
internet connection hona jaroori hai. Aur ye method sirf android operating system mai kaam
karega. Windows
ya kisi aur operating system ye trick kaam ni karegi. Aur aap ye trick sirf kharab
phone ya jinka software chala gaya hai unhi par try kare, kisi thik mobile par
ise try na kare kuki isse wo kharab ho sakta hai.
GOOGLE SE KISI KI BHI PURI JANKARI KAISE PAATE RAHE
GOOGLE SE KISI KI BHI PURI JANKARI KAISE PAATE RAHE
To sabse pahle aapko apne laptop mai apne phone ko flash ya
software daaalne ke liye ek ROM download karna hoga, jise stockroom bhi kahte
hai. Har
phone ka alag alag stockrom hota hai. To ise download karne ke liye aapko google par jana hai
aur jaise aapka phone Samsung j2 hai to google par type karna hai “ stock rom download for
Samsung j2”. Aur
iske baad aapke samne kuch site khul jayengi , inme se kisi bhi site se aap stockroom
download kar sakte hai. Ise download karne ke baad aapko apne laptop mai ek aur
software download karna hai jiska name hai SP FLASH TOOL. Isi software ki help se aap
apne phone mai software ko install karenge. Kabhi kabhi ye software aapko stockroom ke sath mai hi
mil jata hai lakin kabhi kabhi ni milta, to aap ise download kar sakte hai. Iske baad aapko apne laptop
mai ek aur software download karna hai jiska name ANDROID USB DRIVER hai, ye
software aapke devisce ko chech karta hai ki aapka phone kis company ka hai. Ye software bhi aapko waise
hi download karna hai jaise stockroom ko download kia hai, jaise google par
type karna hai DOWNLOAD ANDROID USB DRIVER FOR SAMSUNG J2. Aur fir iske baad aapko is
software ko apne laptop mai ache se download kar lena hai. Aur check kar lena hai ki ye
sahi se install hua ya ni, kuki agar sahi se install ni hua hoga to ye sahi se
phone ko identify ni kar payega. Check karne ke liye aap device manager mai jaake check
kar sakte hai.
HACK ANYTHING BY SIMPLE TRICK..
HACK ANYTHING BY SIMPLE TRICK..
Ab aapko apne downloads folder mai jana hai aur SP FLASH
TOOL par click karna hai. Uske baad aapke application par right click karke run as
administrater kar dena hai. Iske baad aapka software open ho jayega fir aapko isme
scatter loading par click karna hai. Iske baad aapne jo stockroom download kia tha usko open
kar lena hai aur fir usme aapko ekfirmware ka option milega usme ek android
scatter file milegi, use open kar lena hai. Ab aapka software load hone lagega.
Ab aapko apne phone ki battery aur sim card jo bhi external
ho sab kuch nikal dena hai aur ab aapko laptop mai download par click kar dena
hai. Jaise
hi click karenge waise hi ye load hone lagega. Jab ye pink line pura load ho jaye 100 % tak Iske baad aapko apne phone ko usb se laptop
mai connect karna hai, aur battery phone mai ni honi chahiye. Aur connect karne ke baad ye
thora time lega 5 se 10 minut ka fir red line 100% complete ho jaegi. Fir ek green signal aaa
jayega Iska matlab aapka phone flash ho chuka hai aur isme naya software dal
chuka hai. Iske
baad apke laptop par msg dikha dega ki aapka phone flash ho gaya hai.
Iske baad aapko apne phone mai battery lagani hai aur fir
use simply open karna hai, fir aapka phone on ho jayega aur pahle jaise chalne
lagega.
To friends aapko meri ye post mobile me software kaise dale pasand aayi ho to please apne
friends mai share kare aur agar koi problem hoti hai to niche comment box mai
comment kar ke puch sakte ahi…
THANKYOU..
Post a Comment