Private browsing kaise kare
Incognito window tab, proxy browser, VPN, HOLAVPN
incognito, incognito mode, incognito browser, incognito window ,proxy browser
Hello friends aaj ham aapke liye bahut hi useful aur aapki
internet security ko lekar topic laaye
hai. Aaj ham aapko batayenge ki internet par aap browsing karte time kin baato
ka dhyan rakhe aur private browsing kaise kare, jisse ki aapki location koi
trace na kar sake aur na hi aapki history koi check kar sake. To friends in sab
ke baare mai janne ke liye hamari post parhte rahe. Ham aapko internet par
securely browsing ke baare mai batayenge.
Google chrome par securely browsing kaise kare
To friends aap mai se jada tar log apne pc ya mobile phone
par chrome browser ka use karte honge. Waise chrome browser fast bhi hai aur
sabse secure browser bhi hai, fir bhi agar aap internet par kuch aisi cheeje
search karna chahte hai ya dekhna chahte hai jiski history aapke ghar mai koi
aur na dekh sake aur aapko history delete bhi na karna pare to iske liye aapko
apna chrome browser open karna hai aur usme aapko side mai 3 dots dikhayi de
rahe honge. Aap ko uspar click karna hai. Wahi par aapko ek new incognito
window ka option dikhega. Is option ko ap directly ctrl+shift+n press kar ke
bhi open kar sakte hia. Jaise hi aap ise open karenge to aapke samne ek nayi
window open ho jayegi. Ab aap jo bhi private search karna chahte hai is par kar
sakte hai. Aur is par aapki history bhi save nahi hoti hai. To is tarah se aap
apni history save hone se bach jayenge. Aur iski search detail aapke google my
activity par bhi save nahi hoti hai.
VPN kya hota hai/ VPN meaning..
Friends ab agar aapko apne history ki koi problem nahi hai
aur aap khud ko internet par secure rakhna chahte hai, matlab ki aapki location
koi trace na kar sake aur jo kharab sites hoti hai jinse ki malwares aapke
computer mai aa jate hai aisi sites se bachna chahte hai to iske liye aapko ek
VPN ka use karna parega. VPN ek virtual
private network hota hai. Ise set karne ke baad koi bhi aapki original IP ko
trace nahi kar payega. Isse aapki location bhi koi trace nahi kar payega. Aur
aap internet par private browsing kar payenge.
HOW TO CRACK APP LOCK PASSWORD, WITHOUT ANY SOFTWARE.
HOW TO CRACK APP LOCK PASSWORD, WITHOUT ANY SOFTWARE.
VPN full form-
VPN ka full form virtual private network hota hai.
VPN kaise use kare
Friend ab aapko VPN ke bare mai bahut kuch pata chal chukka
hoga. Ab ye jaan lete hai ki ise use kaise kare. To friends waise to bahut
saare VPN paise se milte hai aur paid hote hai.HOLAVPN paid VPN hai. Jinhe kharidna parta hai. Lekin
kuch free VPN bhi hote hai jo ki aap apne chrome browser mai use kar sakte hai.
Mai aapko bataunga ki free VPN kaise use kare. To aapko apne chrome browser ke
search box mai free VPN for chrome type
karna hai. Iske baad aapke samne jo sabs eek chrome extension aayega jiska name
setupVPN - lifetime free hai us par
click karenge. Ek naya page open hoga. Fir waha aapko add to chrome ka option
aayega. Us par click kar ke aap add kar lenge. Fir ye aapke chrome browser mai
kinare ki side mai add ho jayega. Aap ispar click kar ke sign up kar lijiye.
Fir aap ka VPN connect ho jayega. Usme aur bhi security add karne ke liye
prevent webRTC IP leak par click kar dijiye. Click karne ke baad ek aur chrome
extension download ka option aayega uspar click kar dijiye. Is tarah se aap
privately aur securely browsing kar payenge chrome browser par.
INTERNET PAR FREE MAI APNA STORE KAISE OPEN KARE
INTERNET PAR FREE MAI APNA STORE KAISE OPEN KARE
Friends waise ye jada powerful VPN nahi hote hai. Fir bhi
simple use ke liye aap inka use kar sakte hai. Par agar aapko free mai isse bhi
acha VPN use karna hai to aap apne seach box mai opera browser with VPN type
kar ke waha se opera browser download kar sakte hai. Is browser ko download
karne ke baad aapko iski setting mai privacy and security ke option mai se VPN option mai se
enable VPN par click kar dijiye, tab aapke opera browser mai VPN active ho jayega.
To aap is browser se securely browsing kar payenge.
To friends ye bahut hi important post Private browsing kaise kare maine aapke help ke
liye likhi hai. Aap jaroor apne web browser mai VPN ka use kare aur friends
hamari post se related koi bhi problem ho to comment box mai jaroor comment
kare.
THANKYOU..
Bahut acha laga
ReplyDeleteSabhi chije kaam ki hai
thank you
Delete